اردو हिंदी
NipaT ye majra yaro kaDa hai | Shaahi Shayari
nipaT ye majra yaro kaDa hai

Ghazal

NipaT ye majra yaro kaDa hai

Abroo Shah Mubarak

;

nipaT ye majra yaro kaDa hai
musafir dushmanon mein aa paDa hai

raqib apne upar hote hain maghrur
ghalat jaanan hai haq sab sin baDa hai

jo wo bole soi wo bolta hai
raqib ab bhut ho kar sar chaDha hai

KHuda hafiz hai mere dil ka yaro
pathar sin ja ke ye shisha laDa hai

ba-rang-e-mahi-e-be-ab nas din
sajan nin dil hamara taDphaDa hai

raqiban ki nahin faujaan ka wiswas
udhar sin aashiqan ka bhi dhaDa hai

kare kya 'abru' kyunkar milan ho
raqiban ke sanam bas mein paDa hai