nikhat-e-gul hain ya saba hain hum
nahin malum kuchh ki kya hain hum
ru-shanasi hai hum ko aaina-san
ek aalam se aashna hain hum
KHaksari se bazm-e-alam mein
safha-e-naqsh-e-boriya hain hum
hai hamin se wo shahid-e-mani
harf-e-matlab ke muddaa hain hum
jam-e-mai saqiya shitabi de
kaun kahta hai parsa hain hum
shama-san hai daraaz rishta-e-umr
ki fana hone se baqa hain hum
tere kucha talak ki taqat hai
nahin itne shikasta-pa hain hum
bang-e-sankh aur nala-e-naqus
kahe hamdam jo kam-numa hain hum
chashm kya kije wa ba-rang-e-hubab
turfat-ul-ain mein hawa hain hum
nargisi chashm tha wo kafir aah
jis ke bimar-o-mubtala hain hum
nazninan-e-dahr ke har dam
kushta-e-ghamza-o-ada hain hum
ai wafa tu kidhar hai ho dam-saz
kushta-e-KHanjar-e-jafa hain hum
chashm-e-bad-dur kya ghazal hai 'nasir'
KHub is fan mein marhaba hain hum
Ghazal
Nikhat-e-gul hain ya saba hain hum
Shah Naseer

