nikali jae kis tarkib se taqrir ki surat
wo aaine ki surat aur main taswir ki surat
giraftar-e-mohabbat kar liya baaton hi baaton mein
tasalsul se numayan ho gai zanjir ki surat
ziyaada aaine se hai munawwar mushaf-e-ariz
aur is par KHal-e-mushkin aaya-e-tathir ki surat
tere tewar badalte hi zamana ho gaya dushman
hilal-e-id bhi zahir hua shamshir ki surat
sitam ho jaega gar baal bhi beka hua us ka
nikal kar aah sine se gai hai tir ki surat
kabhi miThi nigahen hain kabhi tewar badalte hain
na marta hun na jita hun ye hai tazir ki surat
maza kya us but-e-be-pir se dil ke lagane ka
jo KHalwat mein ho but mahfil mein ho taswir ki surat
KHafa hote hi kuchh ka kuchh bhawon ka ho gaya naqsha
kabhi KHanjar ki surat aur kabhi shamshir ki surat
jise mil jae KHak-e-pak-e-dasht-e-karbala 'parwin'
palaT kar bhi na dekhe wo kabhi iksir ki surat
Ghazal
Nikali jae kis tarkib se taqrir ki surat
Parveen Umm-e-Mushtaq

