nind bhi tere bina ab to saza lagti hai
chaunk paDta hun agar aankh zara lagti hai
fasla qurb bana qurb bhi aisa ki mujhe
dil ki dhaDkan tere qadmon ki sada lagti hai
dushman-e-jaan hi sahi dost samajhta hun use
bad-dua jis ki mujhe ban ke dua lagti hai
KHud agar nam lun tera to larazta hai badan
ghair gar baat kare choT siwa lagti hai
aise mahbas mein janm apna hua hai ki mujhe
har dariche se baDi sard hawa lagti hai
tanz-amez nahin hai mera andaz-e-suKHan
talKH be-shak hai magar baat juda lagti hai
Ghazal
Nind bhi tere bina ab to saza lagti hai
Murtaza Birlas