nigah o dil mein wahi karbala ka manzar tha
main tishna-lab thi mere samne samundar tha
bahut ghurur tha biphre hue samundar ko
magar jo dekha mere aansuon se kam-tar tha
hamare hisse mein aai hai ret sahil ki
kisi ne chhin li wo sip jis mein gauhar tha
bahut sukun tha Thahre hue samundar ko
ki us mein jo bhi tha tufan mere andar tha
wo shaKHs aaya tha ai 'shama' le ke mausam-e-gul
use KHabar hi na thi dard mera zewar tha
Ghazal
Nigah o dil mein wahi karbala ka manzar tha
Syeda Nafis Bano shama