nigah-e-saqi-e-na-mehrban ye kya jaane
ki TuT jate hain KHud dil ke sath paimane
mili jab un se nazar bas raha tha ek jahan
haTi nigah to chaaron taraf the virane
hayat laghzish-e-paiham ka nam hai saqi
labon se jam laga bhi sakun KHuda jaane
tabassumon ne nikhaara hai kuchh to saqi ke
kuchh ahl-e-gham ke sanware hue hain mai-KHane
ye aag aur nahin dil ki aag hai nadan
charagh ho ki na ho jal-bujhenge parwane
fareb-e-saqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'
sharab ek hai badle hue hain paimane
Ghazal
Nigah-e-saqi-e-na-mehrban ye kya jaane
Majrooh Sultanpuri