اردو हिंदी
Nigah-e-naz ka ek war kar ke chhoD diya | Shaahi Shayari
nigah-e-naz ka ek war kar ke chhoD diya

Ghazal

Nigah-e-naz ka ek war kar ke chhoD diya

Shakeel Badayuni

;

nigah-e-naz ka ek war kar ke chhoD diya
dil-e-harif ko bedar kar ke chhoD diya

hui to hai yunhi tardid-e-ahd-e-lutf-o-karam
dabi zaban se iqrar kar ke chhoD diya

chhupe kuchh aise ki ta-zist phir na aae nazar
rahin-e-hasrat-e-didar kar ke chhoD diya

mujhe to qaid-e-mohabbat aziz thi lekin
kisi ne mujh ko giraftar kar ke chhoD diya

nazar ko jurat-e-takmil-e-bandagi na hui
tawaf-e-kucha-e-dil-dar kar ke chhoD diya

KHusha wo kashmakash-e-rabt-e-bahami jis ne
dil o dimagh ko be-kar kar ke chhoD diya

zahe-nasib ki duniya ne tere gham ne mujhe
masarraton ka talabgar kar ke chhoD diya

karam ki aas mein ab kis ke dar pe jae 'shakil'
jab aap hi ne gunahgar kar ke chhoD diya