nigah-e-faqr mein shan-e-sikandari kya hai
KHiraj ki jo gada ho wo qaisari kya hai
buton se tujh ko umiden KHuda se naumidi
mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai
falak ne un ko ata ki hai KHwajgi ki jinhen
KHabar nahin rawish-e-banda-parwari kya hai
faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai
isi KHata se itab-e-muluk hai mujh par
ki jaanta hun maal-e-sikandari kya hai
kise nahin hai tamanna-e-sarwari lekin
KHudi ki maut ho jis mein wo sarwari kya hai
KHush aa gai hai jahan ko qalandari meri
wagarna sher mera kya hai shairi kya hai
Ghazal
Nigah-e-faqr mein shan-e-sikandari kya hai
Allama Iqbal