nazar paDa ek but-e-pari-wash nirali saj-dhaj nai ada ka
jo umr dekho to das baras ki pe qahr o aafat ghazab KHuda ka
jo ghar se nikle to ye qayamat ki chalte chalte qadam qadam par
kisi ko Thokar kisi ko chhakkaD kisi ko gali nipaT laDaka
gale lipaTne mein yun shitabi ki misl bijli ke iztirabi
kahin jo chamka chamak chamak kar kahin jo lapka to phir jhapaka
ye chanchalahaT ye chulbulahaT KHabar na sar ki na tan ki sudh-budh
jo chira bikhra bala se bikhra na band bandha kabhu qaba ka
laDa de aankhen wo be-hijabi ki phir palak se palak na mare
nazar jo nichi kare to goya khila sarapa chaman haya ka
ye rah chalne mein chanchalahaT ki dil kahin hai nazar kahin hai
kahan ka uncha kahan ka nicha KHayal kis ko qadam ki ja ka
ye rum ye nafrat ye dur khinchna ye nang aashiq ke dekhne se
jo patta khaTke hawa se lag kar to samjhe khaTka nigah ke pa ka
jatawe ulfat chaDhawe abru idhar lagawaT udhar taghaful
kare tabassum jhiDak de har dam rawish haTili chalan dagha ka
na wo sambhaale kisi ke sambhle na wo manae mane kisi se
jo qatl-e-ashiq pe aa ke machle to ghair ka phir na aashna ka
jo shakl dekho to bholi bholi jo baaten suniye to miThi miThi
dil aisa patthar ki sar aDa de jo nam lije kisi wafa ka
'nazir' haT ja pare sarak ja badal le surat chhupa le munh ko
jo dekh lewega wo sitamgar to yar hoga abhi jhaDaka

Ghazal
Nazar paDa ek but-e-pari-wash nirali saj-dhaj nai ada ka
Nazeer Akbarabadi