nazar nazar se milaoge mare jaoge
ziyaada bojh uThaoge mare jaoge
koi nahin hai yahan e'tibar ke qabil
kisi ko raaz bataoge mare jaoge
har ek shaKH pe chhiDka hua hai zahr yahan
shajar ko hath lagaoge mare jaoge
jo kandhe par ho wo gardan utar leta hai
kisi ko uncha uThaoge mare jaoge
har ek aaina manzar juda banata hai
nazar ka bojh uThaoge mare jaoge
dhuen mein milna muqaddar hai in lakiron ka
hawa mein naqsh banaoge mare jaoge
ye nafsiyati marizon ka shahr hai 'qaisar'
koi sawal uThaoge mare jaoge
Ghazal
Nazar nazar se milaoge mare jaoge
Zubair Qaisar