اردو हिंदी
Nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain | Shaahi Shayari
nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain

Ghazal

Nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain

Nushur Wahidi

;

nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain
un ankhDiyon ko mai-kade ki raat kahte aae hain

ba-chashni-e-ahd-e-nau jo baat kahte aae hain
gham-e-jahan ko dil ki kaenat kahte aae hain

fareb-e-shauq ko taKHaiyyulat kahte aae hain
bikhar gae to gesuon ko raat kahte aae hain

usi ko zindagi ka saz de ke mutmain hun main
wo husn jis ko husn-e-be-sabaat kahte aae hain

ye muKHlisan-e-ishq bhi ajab ada-parast hain
wo muskura diye to iltifat kahte aae hain

hayat ta-mamat ek silsila hai ishq ka
kahan hain wo jo marg ko najat kahte aae hain

na zahidon ke waz-e-tark-e-ishq par hanse koi
ye be-KHabar bhi hausle ki baat kahte aae hain

ye zarf-e-baada kya hai baada-ashna se puchhiye
hum is ko shisha-e-tajalliyat kahte aae hain

ghazal hai nam husn ke muamalat-e-KHam ka
KHata hui ki dilbaron ki baat kahte aae hain

sukun o KHwab zindagi ki rah mein kahan 'nushur'
hayat ko musafirat ki raat kahte aae hain