nazar ke bhed sab ahl-e-nazar samajhte hain
jo be-KHabar hain unhen be-KHabar samajhte hain
na un ki chhanw mein barkat na barg-o-bar mein faiz
wo KHud-numud jo KHud ko shajar samajhte hain
unhon ne jhukte hue peD hi nahin dekhe
jo apne kaghzi phal ko samar samajhte hain
hisar-e-jaan dar-o-diwar se alag hai miyan
hum apne ishq ko hi apna ghar samajhte hain
kushada-dil ke liye dil bahut kushada hai
ye main to kya mere diwar-o-dar samajhte hain
meri harif nahin hai ye nil-gun wusat
aur is faza ko mere baal-o-par samajhte hain
akela chhoDne walon ko ye batae koi
ki hum to rah ko bhi ham-safar samajhte hain
tujhe to ilm ke do chaar harf le baiThe
samajhne wale yahan umr bhar samajhte hain
samajh liya tha tujhe dost hum ne dhoke mein
so aaj se tujhe bar-e-digar samajhte hain
jo aashnai ke KHanjar se aashna hain 'saud'
wo dast-e-dost ke sare hunar samajhte hain

Ghazal
Nazar ke bhed sab ahl-e-nazar samajhte hain
Saud Usmani