اردو हिंदी
Nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata | Shaahi Shayari
nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata

Ghazal

Nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata

Shahryar

;

nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata
kisi ko kya mujhe KHud bhi yaqin nahin aata

tera KHayal bhi teri tarah sitamgar hai
jahan pe chahiye aana wahin nahin aata

jo hone wala hai ab us ki fikr kya kije
jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata

ye mera dil hai ki manzar ujaD basti ka
khule hue hain sabhi dar makin nahin aata

bichhaDna hai to bichhaD ja isi do-rahe par
ki moD aage safar mein kahin nahin aata