اردو हिंदी
Nazar azabon mein ghir gai hai suKHan sarabon mein aa gaya hai | Shaahi Shayari
nazar azabon mein ghir gai hai suKHan sarabon mein aa gaya hai

Ghazal

Nazar azabon mein ghir gai hai suKHan sarabon mein aa gaya hai

Munawwar Jameel

;

nazar azabon mein ghir gai hai suKHan sarabon mein aa gaya hai
suna hai ab ke bahaar-mausam KHizan ki baaton mein aa gaya hai

ye kya ghazab hai ki jis ne ahd-e-bahaar chaha na ishq dekha
nizam-e-hijr-o-visal sara usi ke hathon mein aa gaya hai

bahaar to ek mughaalta hai KHizan ki ru-posh hairaton ka
jo is tilism-e-jahan se guzra wo dastanon mein aa gaya hai

wo jis ke daman mein shaeri thi bahaar-lahje ki luT-luTa kar
ai rabb-e-lafz-o-bayan wo shaer teri panahon mein aa gaya hai

bahaar kya ab KHizan bhi dekhe ghurur-e-husn-e-suKHanwari mein
jo aasmanon mein ja basa tha zamin ke qadmon mein aa gaya hai

bahaar-rut mein bichhaD ke tujh se jo dil pe guzri wo dil hi jaane
hamein to itna pata hai yaro lahu tak aankhon mein aa gaya hai