اردو हिंदी
Nazar aata hai wo jaisa nahin hai | Shaahi Shayari
nazar aata hai wo jaisa nahin hai

Ghazal

Nazar aata hai wo jaisa nahin hai

Bilqis Zafirul Hasan

;

nazar aata hai wo jaisa nahin hai
jo kahte ho magar waisa nahin hai

nahin hota hai kya kya is jahan mein
wahi jo chahiye hota nahin hai

bhara hai shahr firaunon se apna
koi hota jo ek musa nahin hai

chalo ek aur koshish kar ke dekhen
yunhi ghuT ghuT ke mar jaana nahin hai

nahin hai KHwab diwane ka hasti
ye duniya sirf ek dhoka nahin hai

nihayat talKH hai sangin sach hai
haqiqat apni afsana nahin hai

namak ashkon ka dil ko lag gaya hai
yahan ab kuchh kahin ugta nahin hai

jo karna chahiye wo hi kiya hai
milega ajr kya socha nahin hai

sunae ja rahe hain apni apni
aji suniye mujhe sunna nahin hai

hamein chheDe nahin 'bilqis' koi
hamara aaj ji achchha nahin hai