naya ek zaKHm khana chahta hun
main jine ko bahana chahta hun
rula deti hai har sachchi kahani
main ek jhuTa fasana chahta hun
mahak se jhum uThe sara jiwan
main aisa gul khilana chahta hun
mohabbat meri behad KHud-gharaz hai
tujhe sab se chhupana chahta hun
ye pagal-pan nahin to aur kya hai
main sach-much muskurana chahta hun
bahut masum tha wo daur-e-wahshat
main phir jangal basana chahta hun
khao KHwab ya lahrao saghar
main KHud ko bhul jaana chahta hun
KHudaya dard ko de aur shiddat
ki main ab haar jaana chahta hun
wo aa jaen to dil par ho na qabu
wahi qissa purana chahta hun
mere har dukh ka karan hain ye aankhen
main ye dipak bujhana chahta hun
koi shahzad ko mujh pas lae
main us ka dukh baTana chahta hun
Ghazal
Naya ek zaKHm khana chahta hun
Farhat Shahzad

