اردو हिंदी
Natija tajassus ka behtar bhi hai | Shaahi Shayari
natija tajassus ka behtar bhi hai

Ghazal

Natija tajassus ka behtar bhi hai

athar shakeel

;

natija tajassus ka behtar bhi hai
mashaqqat ki tah mein muqaddar bhi hai

nadi par karna hi kafi nahin
abhi raste mein samundar bhi hai

agar ghar ko chhoDen to jaen kahan
qayamat to khiDki se bahar bhi hai

gulabon ka dhoka na khae koi
azizon ki jholi mein patthar bhi hai

nahin nind aankhon mein tujh bin meri
KHunuk raat hai tan pe chadar bhi hai

batao zamane mein 'athar' tumhein
sukun ek din ko mayassar bhi hai