nasim-e-subh gulshan mein gulon se khelti hogi
kisi ki aaKHiri hichki kisi ki dil-lagi hogi
tujhe danista mahfil mein jo dekha ho to mujrim hun
nazar aaKHir nazar hai be-irada uTh gai hogi
maza aa jaega mahshar mein kuchh sunne sunane ka
zaban hogi hamari aur kahani aap ki hogi
yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai
KHudai aap se hogi na hum se bandagi hogi
tajjub kya lagi jo aag ai 'simab' sine mein
hazaron dil mein angare bhare the lag gai hogi
Ghazal
Nasim-e-subh gulshan mein gulon se khelti hogi
Seemab Akbarabadi