اردو हिंदी
Nashat-e-gham bhi mila ranj-e-shad-mani bhi | Shaahi Shayari
nashat-e-gham bhi mila ranj-e-shad-mani bhi

Ghazal

Nashat-e-gham bhi mila ranj-e-shad-mani bhi

Shahryar

;

nashat-e-gham bhi mila ranj-e-shad-mani bhi
magar wo lamhe bahut muKHtasar the fani bhi

khuli hai aankh kahan kaun moD hai yaro
dayar-e-KHwab ki baqi nahin nishani bhi

ragon mein ret ki ek aur tah jami dekho
ki pahle jaisi nahin KHun mein rawani bhi

bhaTak rahe hain taaqub mein ab sarabon ke
mila na jin ko samundar se bund pani bhi

zamin bhi hum se bahut dur hoti jati hai
Dara rahi hai KHalaon ki be-karani bhi

tawil hone lagi hain isi liye raaten
ki log sunte sunate nahin kahani bhi