nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein
kaho bulbul se ab anDe na rakkhe aashiyane mein
pachahattar lakh ek be-kar mad mein sarf kar denge
reaya ke liye kauDi nahin jin ke KHazane mein
jo arzan hai to hai un ki mata-e-abru warna
zara si chiz bhi behad giran hai is zamane mein
jafa-o-zulm nasab-ul-ain hoga jis hukumat ka
yaqinan KHak ho jaegi wo thoDe zamane mein
wo ek roTi jo hum ko barhaman mushkil se deta hai
hazaron but hua karte hain us ke dane dane mein
Ghazal
Nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein
Ahmaq Phaphoondvi