اردو हिंदी
Nahin tha koi bhi phir bhi thin aahaTen kya kya | Shaahi Shayari
nahin tha koi bhi phir bhi thin aahaTen kya kya

Ghazal

Nahin tha koi bhi phir bhi thin aahaTen kya kya

Arsh Sahbai

;

nahin tha koi bhi phir bhi thin aahaTen kya kya
tamam-raat huin dil pe dastaken kya kya

na miT sake kisi surat bhi mere dil ke shokuk
teri nigah ne ki hain wazahaten kya kya

ye aarzu hai ki in mein ho koi tujh jaisa
nazar mein ghumti rahti suraten kya kya

kisi ke tarz-e-taghaful pe kis liye ilzam
mujhe to KHud se rahi hain shikayaten kya kya

simaT gae hain mohabbat ke daeron mein hum
bikhar gai hain fazaen hikayaten kya kya

KHud apni zindagi bhi apni dastaras mein nahin
qadam qadam pe badalti hai karwaTen kya kya

kisi ki chashm-e-tawajjoh na uTh saki mujh par
meri nazar mein thin warna guzarishen kya kya

ye rang lai hai ahbab ki KHirad-mandi
ujaD ke rah gain mahfil ki raunaqen kya kya

tamam walwale wo sard paD chuke ai 'arsh'
hamare dil mein thin warna hararaten kya kya