nahin malum kitne ho chuke hain imtihan ab tak
magar tere wafadaron ki himmat hai jawan ab tak
ye tufan-e-hawadis aur talatum baad o baran ke
mohabbat ke sahaare kashti-e-dil hai rawan ab tak
kahan chhoDa hai dil ko karwan-e-ah-o-nala ne
ki hai aawara manzil yusuf-e-be-karwan ab tak
talash-e-bahr mein qatre ne kitni Thokaren khain
samajh leta jo KHud ko ban hi jata be-karan ab tak
dil-e-bimar ko hamdam hawa-e-sair-e-gul kya ho
ki hai na-mo'tadil aab-o-hawa-e-gulsitan ab tak
azal se gosh-e-dil mein gunjte hain zamzame tere
magar ai dost main ne tujh ko paya be-nishan ab tak
ayan afsurdagi-e-gul se hai anjam gulshan ka
magar KHun-e-dil-e-bulbul hai sarf-e-ashiyan ab tak

Ghazal
Nahin malum kitne ho chuke hain imtihan ab tak
Wasif Dehlvi