اردو हिंदी
Nahin hai zaKHm koi baKHiye ke dar-KHur mere tan mein | Shaahi Shayari
nahin hai zaKHm koi baKHiye ke dar-KHur mere tan mein

Ghazal

Nahin hai zaKHm koi baKHiye ke dar-KHur mere tan mein

Mirza Ghalib

;

nahin hai zaKHm koi baKHiye ke dar-KHur mere tan mein
hua hai tar-e-ashk-e-yas rishta chashm-e-sozan mein

hui hai mane-e-zauq-e-tamasha KHana-virani
kaf-e-sailab baqi hai ba-rang-e-pumba rauzan mein

wadiat-KHana-e-bedad-e-kawish-ha-e-mizhgan hun
nagin-e-nam-e-shahid hai mere har qatra-e-KHun tan mein

bayan kis se ho zulmat-gustari mere shabistan ki
shab-e-mah ho jo rakh dun pamba diwaron ke rauzan mein

nikohish mana-e-be-rabti-e-shor-e-junun aai
hua hai KHanda-e-ahbab baKHiya jeb-o-daman mein

hue us mehr-wash ke jalwa-e-timsal ke aage
par-afshan jauhar aaine mein misl-e-zarra rauzan mein

na jaanun nek hun ya bad hun par sohbat-muKHalif hai
jo gul hun to hun gulKHan mein jo KHas hun to hun gulshan mein

hazaron dil diye josh-e-junun-e-ishq ne mujh ko
siyah ho kar suwaida ho gaya har qatra-e-KHun tan mein

'asad' zindani-e-tasir-e-ulfat-ha-e-KHuban hun
KHam-e-dast-e-nawazish ho gaya hai tauq gardan mein

fuzun ki doston ne hirs-e-qatil zauq-e-kushtan mein
hoe hain baKHiya-ha-e-zaKHm jauhar tegh-e-dushman mein

tamasha kardani hai lutf-e-zaKHm-e-intizar ai dil
suwaida dagh-e-marham mardumuk hai chashm-e-sozan mein

dil-o-din-o-KHirad taraj-e-naz-e-jalwa-pairai
hua hai jauhar-e-aina KHel-e-mor KHirman mein

nikohish mane-e-diwangi-ha-e-junun aai
lagaya KHanda-e-naseh ne baKHiya jeb-o-daman mein