nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne wala
dil mein ye shor barabar nahin rahne wala
jis tarah KHamushi lafzon mein Dhali jati hai
is mein tasir ka unsur nahin rahne wala
ab ye kis shakl mein zahir ho, KHuda hi jaane
ranj aisa hai ki andar nahin rahne wala
main use chhoDna chahun bhi to kaise chhoDun?
wo kisi aur ka ho kar nahin rahne wala
ghaur se dekh un aankhon mein nazar aata hai
wo samundar jo samundar nahin rahne wala
jurm wo karne ka socha hai ki bas ab ki bar
koi ilzam mere sar nahin rahne wala
main ne haalanki bahut waqt guzara hai yahan
ab main is shahr mein pal bhar nahin rahne wala
maslahat lafz pe do harf na bhejun? 'jawwad'
jab mere sath muqaddar nahin rahne wala
Ghazal
Nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne wala
Jawad Sheikh