nafas nafas hai tere gham se chur chur ab tak
na sham hai na sawera qarib dur ab tak
suni-sunai pe mat ja zara qarib to aa
saza na de ki mohabbat hai be-qusur ab tak
machal rahi hai kahin ju-e-shir ai farhad
kalim san to sahi jal raha hai tur ab tak
mere KHuda main kahan jaun kis tarah DhunDun
mujhe pukar raha hai koi zarur ab tak
na tu mera na teri ham-nashiniyan meri
bharam hai jis ko samajhte hain sab ghurur ab tak
idhar wafur-e-mohabbat udhar murawwat thi
jo kuchh kaha tha bhula de tere huzur ab tak
chala gaya hai makin chhoD kar makan apna
koi nahin hai magar chhan raha hai nur ab tak
wo ek hadisa-e-ruh-o-dil ki bit gaya
jise na man saka 'shaz' ka shuur ab tak

Ghazal
Nafas nafas hai tere gham se chur chur ab tak
Shaz Tamkanat