nae gul khile nae dil bane nae naqsh kitne ubhar gae
wo payambaran-e-sad inqilab jidhar jidhar se guzar gae
jo shahid-e-rah-e-wafa hue wo isi KHushi mein magan rahe
ki jo din the un ki hayat ke gham-e-zindagi mein guzar gae
abhi sath sath to the magar mujhe mere haal pe chhoD kar
mere ham-jalis kahan gae mere ham-safir kidhar gae
meri justuju ko faqih-e-shahr bata raha hai sharik-e-zeher
use kya KHabar ki dimagh o dil yahi zahr kha ke nikhar gae
are o adib-e-fasurda-KHu are o mughanni-e-rang o bu
abhi hashiye pe khaDa hai tu bahut aage ahl-e-hunar gae

Ghazal
Nae gul khile nae dil bane nae naqsh kitne ubhar gae
Wamiq Jaunpuri