nadamat hai bana kar is chaman mein aashiyan mujh ko
mila hamdam yahan koi na koi ham-zaban mujh ko
dikhae ja rawani tausan-e-umr-e-rawan mujh ko
hilal-e-barq se rakh ham-rikab-o-ham-inan mujh ko
banaya na-tawani ne sulaiman-e-zaman mujh ko
uDa kar le chale mauj-e-nasim-e-bostan mujh ko
dam-e-subh-e-azal se main nawa-sanjon mein hun tere
bataya bulbul-e-sidra ne andaz-e-fughan mujh ko
meri baaton mein kya malum kab soe wo kab jage
sire se is liye kahni paDi phir dastan mujh ko
baha kar qafila se dur jism-e-zar ko phenka
ki mauj-e-sail thi bang-e-dara-e-karwan mujh ko
ye dil ki be-qarari KHak ho kar bhi na jaegi
sunati hai lab-e-sahil se ye reg-e-rawan mujh ko
uDai KHak jis sahra mein tere waste main ne
thaka-manda mila in manzilon mein aasman mujh ko
tasawwur shama ka jis ko jila de hun wo parwana
lag uTThi aag dil mein jab nazar aaya dhuan mujh ko
wo jis aalam mein ja pahuncha wahan main kis tarah jaun
hua dil aap se bahar pinha kar beDiyan mujh ko
ghubar-e-rah se ai 'nazm' ye aawaz aati hai
gai ai umr-e-rafta tu kidhar phenka kahan mujh ko
Ghazal
Nadamat hai bana kar is chaman mein aashiyan mujhko
Nazm tabaa-tabaa.ii