nazuk aisa nahin kisi ka peT
maKHmal-e-rang-e-gul hai goya peT
nazar aata hai aks kurti ka
aaine se bhi hai musaffa peT
dard-e-sar kho diya sabihon ka
sandal-e-subh ka hai taKHta peT
ye sabahat ye husn ye jalwa
waraq-e-sim-mah hai sara peT
naf hai saghar-e-murad ai gul
baada-e-husn ka hai mina peT
Dar yahi hai na chhalke saghar-e-umr
hai mai-e-nab ka qaraba peT
jam KHali nahin hai chehre se kam
aaj saqi ne muft kaTa peT
tum ne dam de ke jab milaya phul
KHub misl-e-habab phula peT
saikDon nigle aadmi us ne
na bhara azhdar-e-zamin ka peT
surKH kurti se ho gaya malum
aaftab-e-sahar hai un ka peT
dam nahin sine mein samata hai
yaad aata hai un ka gora peT
dekhne wale kyun na hon majnun
rang mein hai ezar-e-laila peT
chhatiyan hain turanj-e-zar goya
lauh-e-simin hai us pari ka peT
lal nifa dikha ke gardun ko
haala-e-mah ka rang laya peT
shad hote hain dekh kar aashiq
sahar-e-id ka hai naqsha peT
mu-e-mizhgan hain baal saili ke
aaankhon ke samne hai tera peT
baat masti ki hazm ho na saki
shisha-e-baada ka hai halka peT
jaan-o-dil se 'munir' sadqa hai
nahin dekha hai ab tak aisa peT
Ghazal
Nazuk aisa nahin kisi ka peT
Muneer Shikohabadi

