nala shab-e-firaq jo koi nikal gaya
josh-e-junun se chir ke cahrKH-o-zuhal gaya
puchha mizaj is ka jo rashk-e-masih ne
le kar mariz-e-ishq sambhaala sambhal gaya
nikli zaban-e-shama se kya baat raat ko
sunte hi jis ko bazm mein parwana jal gaya
ahd-e-shabab chashm-e-zadan mein hua tamam
jhonka tha ek nasim ka aa kar nikal gaya
dar-e-fana mein kaun hai jis ko qayam hai
koi yahan se aaj gaya koi kal gaya
kaisa hi koi kyun na ho koi chaalak shahsawar
guzra jo rah-e-ishq mein wo sar ke bal gaya
ab aai raat dekhen guzarti hai kis tarah
banda-nawaz din to bahanon mein Tal gaya
ye tair-e-nafas bhi to wapas na aaega
jab chhoD kar badan ke qafas se nikal gaya
lutf-e-kalam-e-'mashriqi' us ko raha bhi yaad
sun kar mushaira mein jo meri ghazal gaya

Ghazal
Nala shab-e-firaq jo koi nikal gaya
Sardar Genda Singh Mashriqi