اردو हिंदी
Na-umidi ne yun sataya tha | Shaahi Shayari
na-umidi ne yun sataya tha

Ghazal

Na-umidi ne yun sataya tha

Hasan Nayeem

;

na-umidi ne yun sataya tha
main ne KHud hi diya bujhaya tha

ek basti hui wahin aabaad
tum ne KHema jahan lagaya tha

kuchh hunar ki kami thi qatil mein
kuchh buzurgon ka mujh pe saya tha

mujh ko dad-e-wafa mili us se
jis ne apna bhi ghar luTaya tha

ab hun qaidi usi pari ka 'naim'
jis ne har qaid se chhuDaya tha