اردو हिंदी
Na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka | Shaahi Shayari
na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka

Ghazal

Na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka

Fareed Javed

;

na-shagufta kaliyon mein shauq hai tabassum ka
bar sah nahin saktin der tak talatum ka

jaane kitni fariyaaden Dhal rahi hain naghmon mein
chhiD rahi hai dukh ki baat nam hai tarannum ka

kitne be-karan dariya par kar liye hum ne
mauj mauj mein jin ki zor tha talatum ka

ai KHayal ki kaliyo aur muskura letin
kuchh abhi to aaya tha rang sa tabassum ka

guftugu kisi se ho tera dhyan rahta hai
TuT TuT jata hai silsila takallum ka

hasrat o mohabbat se dekhte raho 'jawed'
hath aa nahin sakta husn mah-o-anjum ka