na taKHt-o-taj mein ne lashkar-o-sipah mein hai
jo baat mard-e-qalandar ki bargah mein hai
sanam-kada hai jahan aur mard-e-haq hai KHalil
ye nukta wo hai ki poshida la-ilah mein hai
wahi jahan hai tera jis ko tu kare paida
ye sang-o-KHisht nahin jo teri nigah mein hai
mah o sitara se aage maqam hai jis ka
wo musht-e-KHak abhi aawargan-e-rah mein hai
KHabar mili hai KHudayan-e-bahr-o-bar se mujhe
farang rahguzar-e-sail-e-be-panah mein hai
talash us ki fazaon mein kar nasib apna
jahan-e-taza meri aah-e-subh-gah mein hai
mere kadu ko ghanimat samajh ki baada-e-nab
na madrase mein hai baqi na KHanqah mein hai
Ghazal
Na taKHt-o-taj mein ne lashkar-o-sipah mein hai
Allama Iqbal