na sakat hai zabt-e-gham ki na majal-e-ashk-bari
ye ajib kaifiyat hai na sukun na be-qarari
tera ek hi sitam hai tere har karam pe bhaari
gham-e-do-jahan se de di mujhe tu ne rustagari
meri zindagi ka hasil tere gham ki pasdari
tere gham ki aabru hai mujhe har KHushi se pyari
ye qadam qadam balaen ye sawad-e-ku-e-jaanan
wo yahin se lauT jae jise zindagi ho pyari
tere jaan-nawaz wade mujhe kya fareb dete
tere kaam aa gai hai meri zud-e'tibari
meri raat muntazir hai kisi aur subh-e-nau ki
ye sahar tujhe mubarak jo hai zulmaton ki mari
Ghazal
Na sakat hai zabt-e-gham ki na majal-e-ashk-bari
Amir Usmani