na sah saka jab masafaton ke azab sare 
to kar gae kuch meri aankhon se KHwab sare 
bayaz-e-dil par ghazal ki surat raqam kiye hain 
tere karam bhi tere sitam bhi hisab sare 
bahaar aai hai tum bhi aao idhar se guzro 
ki dekhna chahte hain tum ko gulab sare 
ye saneha hai ki waizon se ulajh paDe hum 
ye waqia hai ki pi rahe the sharab sare 
bhala hua hum gunahgaron ne zid nahin ki 
sameT kar le gaya hai naseh sawab sare 
'faraaz' kis ne mere muqaddar mein likh diye hain 
bas ek dariya ki dosti mein sarab sare
 
        Ghazal
Na sah saka jab masafaton ke azab sare
Ahmad Faraz

