اردو हिंदी
Na puchho wajh meri chashm-e-tar ki | Shaahi Shayari
na puchho wajh meri chashm-e-tar ki

Ghazal

Na puchho wajh meri chashm-e-tar ki

Bakhtiyar Ziya

;

na puchho wajh meri chashm-e-tar ki
miyan phir gir gai diwar ghar ki

ye mana dhul gaya suraj saron se
mere aangan ki dhup ab tak na sar ki

jabin tar KHushk-lab talwon mein chhaale
yahi rudad hai apne safar ki

badi neki izafi masale hain
hukumat hai dilon par sirf Dar ki

gumanon ka muqaddar hai bhaTakta
yaqin ne har muhim duniya ki sar ki

na saya hai na shaKHon mein samar hain
zarurat kya hai ab sukhe shajar ki

jhulasti dhup barish sard raaten
ba-har-surat 'ziya' hum ne basar ki