na puchh hijr mein jo kuchh hua hamara haal
jise na ishq ho wo jaane kya hamara haal
yaqin hai ki kahenge wo ham-safiron se
qafas mein dekh gai hai saba hamara haal
ajab hai is ka jo ab tak nahin suna us ne
fasana-e-sar-e-bazar tha hamara haal
gila yahi hamein qasid se hai ki us gul ko
na KHat diya na zabani kaha hamara haal
kabhi to ghash pe ghash aae kabhi lagi hichki
tere firaq mein kya kya hua hamara haal
kahan talak na haya degi ruKHsat-e-guftar
kabhi to puchhega wo mah-laqa hamara haal
Ghazal
Na puchh hijr mein jo kuchh hua hamara haal
Munawar Khan Ghafil

