اردو हिंदी
Na maqamat na tartib-e-zamani apni | Shaahi Shayari
na maqamat na tartib-e-zamani apni

Ghazal

Na maqamat na tartib-e-zamani apni

Abdul Ahad Saaz

;

na maqamat na tartib-e-zamani apni
ittifaqat pe mabni hai kahani apni

jism si jati hai tah-e-harf kisi karb ki mauj
tham ke rah jati hai lafzon ki rawani apni

phail jati thi samaat ki zaminon mein nami
thi kabhi tar-suKHani aab-rasani apni

lakh tum mujh ko dabao main ubhar aaunga
sath hamwar kiye rahta hai pani apni

majra ruh ki wahshat ka niji hai ai 'saz'
aage rudad nahin hum ko sunani apni