اردو हिंदी
Na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke | Shaahi Shayari
na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke

Ghazal

Na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke

Aslam Mahmood

;

na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke
hum asir apni hi zat ke kisi KHwab ke na KHayal ke

mere shauq-e-sair-o-safar ko ab nae ek jahan ki numud kar
tere bahr o bar ko to rakh diya hai kabhi ka main ne khangal ke

wo hamin the jin ke kamal ki hai ye kaenat bhi mo'tarif
wahi hum ki aaj tamash-bin hue KHud hi apne zawal ke

jo nawah-e-jaan mein muqim hain unhin mausamon ka tilism hai
kabhi jam uchhaale nashat ke kabhi rang uDae malal ke

wahi subh o sham ke marhale wahi KHal o aab ke silsile
wahi qisse nan-o-namak ke hain wahi jhagDe mal-o-manal ke

tera aaina hun main zindagi tere aks ka main amin hun
hai meri shikast tera ziyan mujhe rakh bacha ke sambhaal ke

mere kar-zar-e-hayat mein na koi najib na kam-nasab
yahan nam sirf hunar ka hai yahan charche bas hain kamal ke

nahin gardishon mein jo waqt ki ho ata wo saat-e-mawara
na to ibtida ho na intiha na hon silsile mah o sal ke