na main dil ko ab har makan bechta hun
koi KHub-ru le to han bechta hun
wo mai jis ko sab bechte hain chhupa kar
main us mai ko yaro ayan bechta hun
ye dil jis ko kahte hain arsh-e-ilahi
so us dil ko yaro main yan bechta hun
zara meri himmat to dekho azizo
kahan ki hai jins aur kahan bechta hun
liye hath par dal ko phirta hun yaro
koi mol lewe to han bechta hun
wo kahta hai ji koi beche to hum len
to kahta hun lo han miyan bechta hun
main ek apne yusuf ki KHatir azizo
ye hasti ka sab karwan bechta hun
jo pura KHaridar paun to yaro
main ye sab zamin-o-zaman bechta hun
zamin aasman arsh-o-kursi bhi kya hai
koi le to main la-makan bechta hun
jise mol lena ho le le KHushi se
main is waqt donon jahan bechta hun
biki jins KHali dukan rah gai hai
so ab is dukan ko bhi han bechta hun
mohabbat ke bazar mein ai 'nazir' ab
main aajiz gharib apni jaan bechta hun
Ghazal
Na main dil ko ab har makan bechta hun
Nazeer Akbarabadi