اردو हिंदी
Na lewe gar KHas-e-jauhar tarawat sabza-e-KHat se | Shaahi Shayari
na lewe gar KHas-e-jauhar tarawat sabza-e-KHat se

Ghazal

Na lewe gar KHas-e-jauhar tarawat sabza-e-KHat se

Mirza Ghalib

;

na lewe gar KHas-e-jauhar tarawat sabza-e-KHat se
lagae KHana-e-aina mein ru-e-nigar aatish

farogh-e-husn se hoti hai hall-e-mushkil-e-ashiq
na nikle shama ke pa se nikale gar na KHar aatish

sharar hai rang baad izhaar-e-tab-e-jalwa-e-tamkin
kare hai sang par KHurshid aab-e-ru-e-kar aatish

panawe be-gudaz-e-mom rabt-e-paikar-arai
nikale kya nihaal-e-shama be-tuKHm-e-sharar aatish

KHayal-e-dud tha sar-josh-e-sauda-e-ghalat-fahmi
agar rakhti na KHakistar-nashini ka ghubar aatish

hawa-e-par-fishani barq-e-KHirman-ha-e-KHatir hai
ba-baal-e-shoala-e-betab hai parwana-zar aatish

nahin barq-o-sharar juz wahshat-e-zabt-e-tapidan-ha
bila gardan-e-be-parwa KHarami-ha-e-yar aatish

dhuen se aag ke ek abr-e-dariya-bar ho paida
'asad' haidar-paraston se agar howe do-chaar aatish