na kuchh ziyaada na kuchh kam tere hawale se
wahi hai dard ka aalam tere hawale se
khule jo zaKHm ke Tanke to ye hua mahsus
saba ne rakh diya marham tere hawale se
wahi hai dil ka taDapna wahi hai kaifiyyat
wahi mizaj hai paiham tere hawale se
chali hai hijr ke mausam mein jab bhi purwai
hui hai aankh meri nam tere hawale se
KHizan ka zikr to meri zaban pe tha hi nahin
bahaar karti hai matam tere hawale se
meri hayat thi KHushiyon se ham-kanar magar
hue hain dard munazzim tere hawale se
tera hawala diya tha ki yak-ba-yak 'majid'
zamana ho gaya barham tere hawale se
Ghazal
Na kuchh ziyaada na kuchh kam tere hawale se
Majid Deobandi