na kisi se karam ki ummid rakhen na kisi ke sitam ka KHayal karen
hamein kaun se ranj mile hain nae ki jo dil ke ziyan ka malal karen
abhi sirf KHayal hai KHwab-numa abhi sarf-e-nazar hai sarab-numa
zara aur KHarab ho waz-e-junun to wo zahmat-e-pursish-e-haal karen
wahi shahr hai shahr ke log wahi gham-e-KHanda o sang o salib wahi
yahan aae hain kaun se aise saKHi ki jo lutf-e-suKHan ka sawal karen
sune kaun ye tana-e-chaara-gari sahe kaun ye dagh-e-kamal-e-rafu
chalo dard-e-wajud jagaen sahar chalo zaKHm-e-hayat bahaal karen

Ghazal
Na kisi se karam ki ummid rakhen na kisi ke sitam ka KHayal karen
Sahar Ansari