na khincho aashiq-tishna-jigar ke tir pahlu se
nikale par hai misl-e-mahi-e-taswir pahlu se
na le ai nawak-afgan dil ko mere chir pahlu se
ki wo to ja chuka sath aah ke jun tir pahlu se
dil-e-sipara ko le Tank tawizon mein haikal ke
na sarka ye hamail ai but-e-be-pir pahlu se
wo hon be-dast-o-pa bismil rasai jab na hath aai
kiya ta pa-e-qatil az tah-e-shamshir pahlu se
asir-e-zulf diwane hain dekh ai pasban shab ko
daba kar baiTh un ke panw ki zanjir pahlu se
musawwir laila o majnun ki nakaami pe hairan hain
kabhi baiTha na mil kar pahlu-e-taswir pahlu se
ye dil lab-tishna tegh-e-yar ka hai raat bhar karta
sada-e-al-atish jun nala-e-shab-gir pahlu se
ajab hasrat ka aalam tha ki majnun kahta tha paiham
chhuTe pahlu mere mahmil ka ya taqdir pahlu se
na kahna ustuKHwan un ko ye aalam laghari ka hai
ki hai dikhla raha mera dil-e-dil-gir pahlu se
KHayal-e-abru-e-jaanan nahin ab bhulta ek dam
sipahi hai juda karta nahin shamshir pahlu se
tamam ahl-e-suKHan bazm-e-suKHan mein 'zauq' hairan hain
mila jo qafiya tu ne kiya tahrir pahlu se

Ghazal
Na khincho aashiq-tishna-jigar ke tir pahlu se
Sheikh Ibrahim Zauq