na jism sath hamare na jaan hamari taraf
hai kuchh bhi hum mein hamara kahan hamari taraf
khaDe hain pyase ana ke isi bharose par
ki chal ke aaega ek din kuan hamari taraf
bichhaDte waqt wo taqsim kar gaya mausam
bahaar us ki taraf hai KHizan hamari taraf
isi umid pe kirdar hum nibhate rahe
ki ruKH karegi kabhi dastan hamari taraf
kahan kahan na chhupe bastiyan jala ke magar
jahan jahan gae aaya dhuan hamari taraf
laga ke jaan ki bazi jise bachaya tha
khinchi hui hai usi ki kaman hamari taraf
uchhaal dete hain patthar KHala mein hum jo kabhi
palaT ke dekhta hai aasman hamari taraf
Ghazal
Na jism sath hamare na jaan hamari taraf
Rajesh Reddy

