na jab koi sharik-e-zat hoga
mera ham-zad mere sath hoga
gharon ke band darwazon mein raushan
wahi ek zaKHm-e-ehsasat hoga
na yun dahliz tak aao ki bahar
gali mein fitna-e-zarraat hoga
kurede jao yun hi rakh dil ki
kahin to shoala-e-jazbaat hoga
dariche yun to khul sakte nahin the
hawaon mein kisi ka hat hoga
kitabon mein milenge sher mere
mera gham raunaq-e-safhat hoga
yahi din mein Dhalegi raat 'aKHtar'
yahi din ka ujala raat hoga
Ghazal
Na jab koi sharik-e-zat hoga
Akhtar Hoshiyarpuri