na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
raha ye wahm ki hum hain so wo bhi kya malum
dua to KHair dua se umid-e-KHair bhi hai
ye muddaa hai to anjam-e-muddaa malum
hua na raaz-e-raza fash wo to ye kahiye
mere nasib mein thi warna sai-e-na-malum
meri wafa ke siwa ghayat-e-jafa kyun ho
teri jafa ke siwa hasil-e-wafa malum
kuchh un ke rahm pe thi yun hi zindagi mauquf
ki un ko raaz-e-mohabbat bhi ho gaya malum
tere KHayal ke asrar be-KHudi mein khule
hamin chhupa na sake warna dil ko kya malum
fareb-e-amn mein kuchh maslahat to hai warna
sukun-e-kashti o taufiq-e-na-KHuda malum
wo iltifat ki tha us ki intiha bhi hai
KHuda ki mar ki dil ko yahi na tha malum
ye zindagi ki hai rudad-e-muKHtasar 'fani'
wajud-e-dard musallam ilaj na-malum
Ghazal
Na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
Fani Badayuni