na ho ya rab aisi tabiat kisi ki
ki hans hans ke dekhe musibat kisi ki
jafa un se mujh se wafa kaise chhuTe
ye sach hai nahin chhuTti aadat kisi ki
achhuta jo gham ho to is mein bhi KHush hun
nahin mujh ko manzur shirkat kisi ki
hasinon ki donon adaen hain dilbar
kisi ki haya to shararat kisi ki
mujhe gum-shuda dil ka gham hai to ye hai
ki is mein bhari thi mohabbat kisi ki
bahut roe hum yaad mein apne dil ki
jahan dekhi nannhi si turbat kisi ki
Ghazal
Na ho ya rab aisi tabiat kisi ki
Afsar Allahabadi