na harifana mere samne aa main kya hun
tera hi jhonka hun ai tez hawa main kya hun
raqs yak qatra-e-KHun aap kashish aap junun
ai ram-e-raushni-e-harf-o-sada main kya hun
ek bikharti hui tartib-e-badan ho tum bhi
rakh hote hue manzar ke siwa main kya hun
ek Tahni ka yahan apna muqaddar kaisa
peD ka peD hi girta hai juda main kya hun
tu bhi zanjir-ba-zanjir baDha hai meri samt
sath mere bhi riwayat hai naya main kya hun
kaun hai jis ke sabab tujh mein mohabbat jagi
mujh mein kya tujh ko nazar aaya bata main kya hun
abhi hona hai mujhe aur kahin ja ke tulua
Dubte mehr ke hamrah bujha main kya hun
Ghazal
Na harifana mere samne aa main kya hun
Rajinder Manchanda Bani

