اردو हिंदी
Na hum rahe na wo KHwabon ki zindagi hi rahi | Shaahi Shayari
na hum rahe na wo KHwabon ki zindagi hi rahi

Ghazal

Na hum rahe na wo KHwabon ki zindagi hi rahi

Jaun Eliya

;

na hum rahe na wo KHwabon ki zindagi hi rahi
guman guman si mahak KHud ko DhunDhti hi rahi

ajab tarah ruKH-e-aindagi ka rang uDa
dayar-e-zat mein az-KHud guzashtagi hi rahi

harim-e-shauq ka aalam bataen kya tum ko
harim-e-shauq mein bas shauq ki kami hi rahi

pas-e-nigah-e-taghaful thi ek nigah ki thi
jo dil ke chehara-e-hasrat ki tazgi hi rahi

ajib aaina-e-partaw-e-tamanna tha
thi us mein ek udasi ki jo saji hi rahi

badal gaya sabhi kuchh us dayar-e-budash mein
gali thi jo teri jaan wo teri gali hi rahi

tamam dil ke mohalle ujaD chuke the magar
bahut dinon to hansi hi rahi KHushi hi rahi

wo dastan tumhein ab bhi yaad hai ki nahin
jo KHun thukne walon ki be-hisi hi rahi

sunaun main kise afsana-e-KHyal-e-malal
teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi