اردو हिंदी
Na dil mein gham na honTon par hansi hai | Shaahi Shayari
na dil mein gham na honTon par hansi hai

Ghazal

Na dil mein gham na honTon par hansi hai

Ain Salam

;

na dil mein gham na honTon par hansi hai
KHudawanda ye kaisi zindagi hai

tere wade pe jite hain jiyenge
magar ye pairahan bhi kaghzi hai

udhar wo chand ki dhun mein magan hain
udhar apni ye be-baal-o-pari hai

chamakti bijliyan hi bijliyan hain
chaman mein raushni hi raushni hai

basa-auqat ye hota hai mahsus
ki nabz-e-zindagi ruk si gai hai